Saturday 20 July 2013

Poem on Female Feticide in Hindi

ek cheekh raat ko cheer ke maa ke hirdaye tak aayi
aur ek nanhi si awaaz sun ke maa toh bahut roi
maa mujhe mat maro, mat maro nahi si jaan ko
janam se pehele hi mat maro iss anjaan ko

bas maa hi sun sakti thi uski karum pukar ko
karna to bahut kuch chahti thi par woh thi lachar
akhir wo kiya kar sakti thi woh dari sahami aurat
na toh usme itni himmat thi ki woh karti baghawat

toh usne bhar kar aankhom mein aansu ka moti kaha
teri acchhi kismat hai jo tu janam nahi leti
janam lekar bhi aakhir tu kiya kareghi
iss duniya mein aurat ka koi samaan nahi

kiya karegi yahan aakar, jahan tere liye koi piyar nahi
tu hi hae jo sara jeeven doheri boomika nibayeghi
sabki sewa kareghi tu, par samaan nahi payeghi
are meri nanhi jaan, janam na lene mein hi hai teri bhalai

aur yeh keh kar maa ki vedna aur gehrai
par bebus awaaz aayi, mujhe bas ek mouka dedo
mujhe ek baar duniya mein to aane do
mein apna hi inderdanush banaunghi

chalo, chalo maa ek narak se kahin dhoor chalte hai
tumhe yeh samajhna hoga ki nari se hi vansh chalte hai
han tum theek keheti ho, aur maa ek hospital mein pahunchi
jahan neetu ka janam hua aur jeet hui nari ki

samay badla, samaaj badla badla gayi duniya sari
samajh gaya abh sansar sara abh nari nahi abla bechari.







20 comments:

  1. Is it full lyrics

    ReplyDelete
  2. Plz give full poem

    ReplyDelete